Friday, August 27, 2010



लहू आँखों में लाना बंद कर दो ,
यूँ ज़ख्मो को दिखाना बंद कर दो|

चिरागों ने बहुत कुछ सह लिया है ,
हवाओं आजमाना बंद कर दो | 

हिजर के खौफ से अच्छा हिजर है , 
सनम तुम पास आना बंद कर दो

मुहब्बत आजमाइश मांगती है ,
इसे तुम आज़माना बंद कर दो |

कईं बातें हमारे दरमियाँ है , 
नईं बातें बनाना बंद कर दो |

नहीं दूंगा तुम्हे कोई दुहाई ,
नज़र मुझसे चुराना बंद कर दो |

कई जुगनू है शब के आसमाँ में , 
सुनो दिन दिल जलाना बंद कर दो 
-------------------------------------------------

Lahu aankhon mein laana band kar do,
Yun zakhmo ko dikhana band kar do.

Chiraagon ne bahut kuch seh liya hai ,
Hawaon aazmaana band kar do .

Hijar ke khauf se achha Hijar hai,
Sanam tum paas aana band kar do.

Muhabbat aazmaaish maangti hai ,
isey tum aazmana band kar do.

Kayi baatein hamare darmiyaan hai ,
nayi baatein banana band kar do .

Nahin doonga tumhe koi duhaai ,
nazar mujhse churana band kar do.

Kayi jugnu hai shab ke aasmaan mein ,
Suno din dil jalana band kar do .

Tuesday, August 17, 2010




मैं चल पड़ा हूँ किसी आख़िरी सफ़र के लिए ,
ये रहगुजर ही मेरा घर है उम्र भर के लिए |

मुझे बताओ कोई ज़िंदगी कहाँ है छिपी ,
या मौत बक्श दो अब ज़िंदगी बसर के लिए |

उमर तमाम फ़ना की इसी तसव्वुर में ,
कोई तो राह यहाँ होगी तेरे घर के लिए |

चिराग लौ के तसव्वुर से जगमगाते है ,
हाँ हौसला ही बहुत है किसी सहर के लिए |

नही है कोई तमन्ना मुझे किसी घर की ,
मैं सिर्फ़ माँगता हूँ छाँव दोपहर के लिए |

जिसेक आन का था मुन्तजिर मैं "दिन" कब से ,
वो आन आई भी तो सिर्फ़ आन भर के लिए |


------------------------------------------------

main chal pada hun kisi aakhiri safar ke liye
ye rehguzar hi mera ghar hai umr bhar ke liye

mujhe batao koi zindagi kaha hai chhipi,
ya maut baksh do ab zindagi basar ke liye

umar tamaam fanaa ki isi tasavvur mein
koi to raah yahaan hogi tere ghar ke liye

chiraag lau ke tasavvur se jagmagaate hai ,
haan hausla hi bahut hai kisi seher ke liye

nahin hai koi tamanna mujhe kisi ghar ki,
main sirf maangta hun chaanv dopahar ke liye.

Jis ek aan ka tha muntazir main din kab se,
wo aan aayi bhi to sirf aan bhar ke liye.