मेरी खामोशियों में तेरी ख़ामोशी का आ जाना ,
तेरी खामोशियों में मेरी ख़ामोशी का आ जाना ,
तसव्वुर और हकीकत की मुलाकातें जो होती थी ,
निगाहों से निगाहों की हसीं बातें जो होतीं थी ,
कभी सदियाँ गुज़र जातीं थी उन खामोश बातों में,
क्यों अब सदियाँ गुज़रतीं हैं किसी लम्हे के होने में
तसव्वुर क्यों हकीकत से जुदा होकर के बैठा है ,
ना जाने कौन सी बातें किया करते है सुनते है ?
यहाँ लफ़्ज़ों की जमघट में यही मैं सोचता हूँ जाँ ,
हमें खामोश रहना था , हमें खामोश रहना था |
-------------------------------------------------------------------------
Meri khamoshiyon mein teri khamoshi ka aa jana,
Teri khamoshiyon mein meri khamoshi ka aa jana,
tasavvur aur hakikat ki mulakaatein jo hotin thi,
nigahon se nigahon ki haseen baatein jo hotin thi,
kabhi sadiyaan guzar jaatin thi un khamosh baaton mein/
Kyon ab sadiyaan guzarti hain kisi lamhe ke hone mein ,
tasavvur bhi hakikat se udaa hokar ke baitha hai ,
na jaane kaun si baatein kia karte hai , sunte hai
yaha lafzon ki jamghat mein yahi main sochta hoon jaan,
humein khamosh rehna tha , humein khamosh rehna tha....